Take To Fun Translator

Thursday, 11 April 2013

SAPNA RE SAPNA LYRICS - Ek Thi Daayan


SAPNA RE SAPNA LYRICS - Ek Thi Daayan

Sapna Re Sapna Lyrics


hmm hmm mm... :'(

Sapna re sapna, hai koi apna
Ankhiyon mein aa, bhar jaa
Ankhiyon ki dibiya bhar de re nindiya
Jaadu se jaadu kare jaa
Sapna re sapna, Hai koi apna
Ankhiyon mein aa bhar jaaa na
Ankhiyon ki dibiya bhar de re nindiya
Jaadu se jaadu kare jaaa na

Bhoore bhoore baadalon ke bhaalu
Loriyaan sunaaye la ra ra ru (x2)

Taaron ke kanchon se, raat bhar khelenge
Sapno mein chanda aur tu
Sapna re sapna, Hai koi apna
Ankhiyon mein aa bhar jaa

Peele peele kesari hain gaanv
Geeli geeli chandni ki chhanv (x2)

Bagulon ke jaise re doobe huey hain re
Paani mein sapnon ke paanv

Sapna re sapna, Hai koi apna
Ankhiyon mein aa bhar jaa
Ankhiyon ki dibiya
Bhar de re nindiya
Jaadu se jaadu kar ja
Sapna re sapna (Sapna re sapna)
Ankhiyon ki deebiya (Ankhiyon ki deebiya)
Sapna re sapna... hmm hmm mm :'(
Ankhiyon ki deebia hmm hmm mm :'(

By —  Namreen


LAUTUNGI MAIN LYRICS - Ek Thi Daayan Song


LAUTUNGI MAIN LYRICS - Ek Thi Daayan Song

Lautungi Main Lyrics

Sehmi sehmi raaton mein
Sehmi sehmi chalti hoon (x2)

Lautungi main tere liye
Tere liye jaaneya ve
Sehmi sehmi raaton mein
Sehmi sehmi chalti hoon
Lautungi main tere liye
Tere liye...

Kaali amaavas ke peechhe khadi hoon main
Saalon ke jaalon mein
Kab se padi hoon main
Bechain hoon, tere liye
Ho.. jaaneya, jab doobega din
Diya jalana tum
Aawaaz de ke phir mujhko bulana tum
Lautungi main tere liye jaaneya ve

Tere liye saathi mere
Jaaneya ve...

Veeraan pedon ke saaye jab chalte hain
Maasoom roohon ko andhere daste hain
Darti hoon main tere liye
O ho jaaneya
Jab raatein pighlein okh lagana tum
Aakash ka koi kona uthaana tum
Lautungi main tere liye jaaneya ve
Tere liye saathi mere jaaneya ve..

By—  Namreen



KAALI KAALI LYRICS - Ek Thi Daayan


KAALI KAALI LYRICS - Ek Thi Daayan

Kaali Kaali Lyrics


Kaali kaali aankhon ka
Kala kala jaadu hai
Aadha aadha tujh bin main
Aadhi aadhi si tu hai (x2)

Kaali kaali aankhon ka
Kaala kaala jaadu hai
Aaj bhi junooni si
Jo ek aarzoo hai
Yun hi tarasne de
Yeh aankhein barasne de
Teri aankhein do aankhein
Kabhi shabnam kabhi khushboo hai

Kaali kaali aankhon ka
Kala kaala jaadu hai
Aadha aadha tujh bin main
Aadhi aadhi si tu hai
Kaali kaali aankhon kaala kaala jadu...

Gehre samandar aur do jazeere
Doobe huey hain kitne zakheere
Dhoondne do...
Ashkon ke moti, seepi se kholo
Palkon se jhaanke to jhaankne do
Jhaankne do...
Qatra qatra girne do
Qatra qatra chun.ne do
Qatra qatra rakhna hai naa
Qatra qatra rakhne do
Teri aankhon ka ye saaya
Andhere mein koi jugnoo hai

Kaali kaali aankhon ka
Kala kaala jaadu hai
Aadha aadha tujh bin main
Aadhi aadhi si tu hai

Jaane kahaan pe utrenge dono
Udte huey yeh shab ke parinde
Do parindey....
Pankhon pe barkha, le ke udey hain
Do boond de do, pyaase pade hain
Haan do boondein..
Lamha lamha lamhe dau
Lamha lamha jeene do
Keh bhi do na aankhon se
Lamha lamha peene do
Teri aaknhein halka saa
Chhalka sa ek aansoo hai

Kaali kaali aankhon ka
Kaala kaala jaadu hai
Aadha aadha tujh bin main
Aadhi aadhi si tu hai...

By —  Namreen

TOTEY UD GAYE LYRICS - Ek Thi Daayan


TOTEY UD GAYE LYRICS - Ek Thi Daayan

Totey Ud Gaye Lyrics


Dil miyaan mitthu thay
Ho marzi ke pitthu thay
Ho dil miyaan mitthu thay
Arey marzi ke pitthu thay
Wo meri kahaan sunte thay
Arey apni hi dhunte thay
Ho dil miyaan mitthu thay

Miyaan ji bach-bach ke chalna,
Duniya hai harjaai
Hari hari jo laage, ghaas nahi hai kaai
Arey kaai pe phisle jo surrr kar ke
Phurr karke...
Tote ud gaye phurr phurr kar ke
Tote ud gaye phurr kar ke
Tote ud gaye phurr phurr kar ke
Tote ud gaye

Ishq main yun phisle miyaan
Haathon ke totey udd gaye
Totey ud gaye phurr kar ke
Totey ud gaye phurr phurr karke
Totey ud gaye..

Dil miyaan mitthu thay
Marzi ke pitthu thay
Akde toh kakdi se
Aur pakde toh makdi se
Dil miyaan mitthu thay, mitthu miyaan

Miyaan ji mud mud ke naa dekho
Naa dekho mud mud ke mud mud ke
Mud ke naa dekho miyaan ji
Aji makhra mein koi nahi hai
Jinse ladai thi ankhiyan
Saalon se soyi nahi hain
Sapne se phisle jo surr.. kar ke
Phurr kar ke...
Totey ud gaye phurr phurr kar ke
Totey ud gaye

Ho patli gali mein phisle miyaan
Haathon ke totey ud gaye, phurr kar ke
Totey ud gaye phurr phurr kar ke
Totey ud gaye
Totey ud gaye
Totey ud gaye
Phurr phurr phurr phurr... phurr karke
Totey ud gaye

Haaye mera nag mundri vich paa de
Te bhaave meri jind kad le
Te bhaave meri jind kad le
Adhi raat main gayi tabele
Maahi mill jaave mukh jaan chamele
Maahi mill jaave mukh jaan chamele
Meri sej te ambar bichha de
Te bhaave meri jind kad le
Te bhaave meri jind kad le

Phurr kar ke
Totey ud gaye phurr phurr karke
Totey ud gaye phurr karke
Totey ud gaye phurr phurr karke
Totey ud gaye...

BY — Namreen


YAARAM LYRICS - EK THI DAAYAN Song


YAARAM LYRICS - EK THI DAAYAN Song


Yaaram Lyrics

Hum cheez hain bade kaam ki, Yaaram
Humein kaam pe rakh lo kabhi, Yaaram
Hum cheez hain bade kaam ki, Yaaram

Ho suraj se pehle jagayenge
Aur akhbaar ki sab surkhiyaan hum gungunayenge
Pesh karenge garm chai phir
Koi khabar aayi na pasand toh, end badal denge

Ho munh khuli jamhaai pe
Hum bajaayein chutkiyaan
Dhoop na tum ko lage
Khol denge chhatariyaan
Peechhe peechhe din bhar
Ghar daftar mein le ke chalenge hum

Tumhaari filein, tumhaari diary
Gaadi ki chaabiyan, tumhaari enakein
Tumhaara laptop, tumhaari cap, phone
Aur apna dil, kanwaara dil
Pyaar mein haara bechara dil
Aur apna dil, kanwara dil
Pyaar mein haara, bechara dil...

Yeh kehne mein kuch risk hai, Yaaram!
Naaraz naa ho, ishq hai. Yaaram!

Ho raat savere, shaam ya dopehari
Band aankhon me le ke tumhe ungha karenge hum
Takiye chaadar mehake rehte hain
Jo tum gaye
Tumhari khushboo soongha karenge hum
O.. zulf mein phansi hui khol denge baaliyaan
Kaan khinch jaaye agar
Kha lein meethi gaaliyaan
Chunte chale pairon ke nishaan
Ki unn par aur na paanv pade

Tumhari dhadkanein, tumhari dil sune
Tumhari saans sune, lagi kampkapi
Naa gajre bune, juhi mogra toh kabhi dil
Humaara dil, pyar mein haara bechara dil
Humara dil, humara dil
Pyaar mein haara
Bechara dil...

By - Namreen Gulbark



Sun Raha Hai (Female Version) Lyrics - Aashiqui 2 | Shreya Ghoshal

Sun Raha Hai (Female Version) Lyrics - Aashiqui 2 | Shreya Ghoshal

Sun Raha Hai Lyrics (Female Ver.)

Yaara...
Manzilein ruswa hain
Khoya hai raasta
Aaye le jaaye
Itni si ilteja
Ye meri zamaanat hai
Tu meri amaanat hai aa...

Mujhko iraade de
Kasamein de, waade de
Meri duaaon ke ishaaron ko sahaare de
Dil ko thikaane de naye bahaane de
Khabon ki barishon ko mausam ke paimane de
Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein

Sun raha hai naa tu
Ro rahi hun main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main (x2)

Yaara...

Waqt bhi thehara hai
Kaise kyun ye huaa
Kaash tu aise aaye
Jaise koi duaa
Tu rooh ki raahat hai
Tu meri ibaadat hai

Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein

Sun raha hai naa tu
Ro rahi hun main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main (x2)

SONG INFO
Sun Raha Hai (Female) Lyrics from Aashiqui 2: 
The song is sung by Shreya Ghoshal, 
while male version is sung by composer Ankit Tiwari himself.

Song: Sunn Raha Hai (Female)
Film: Aashiqui 2
Singer: Shreya Ghoshal
Music: Ankit Tiwari
Lyrics: Sandeep Nath
Cast: Aditya Roy Kapur, Shraddha Kapoor
Music Label: T-Series

MERI AASHIQUI LYRICS - Aashiqui 2


MERI AASHIQUI LYRICS - Aashiqui 2

Meri Aashiqui Lyrics


Tu mujhe chhod jaaye
Yeh nahi ho sakta, saathiya

Meri baaton mein tera zikr sadaa
Meri yaad mein teri fikr sadaa
Main jo bhi hoon tum hi to ho
Mujhe tum se mili apni adaa

Kyunki tum hi ho, ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho..
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tum hi ho, tum hi ho
Arz bhi, mera marz bhi
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tere liye hi jiya main
Khud ko jo yun de diya hai
Teri wafa ne mujhko sambhala
Saare ghamon ko dil se nikaala
Main jo mit bhi gaya tto wajood mera
Sadaa tujh mein rahe zinda

Kyun ki tum hi ho, abb tum hi ho
Ki zindagi abb tum hi ho.. woh o..
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui abb tum hi ho

Tum hi ho, tum hi ho
Karz bhi, mera marz bhi
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

SONG INFO
Meri Aashiqui Lyrics from Aashiqui 2: 
The song is sung by Arijit Singh & Palak Muchhal.
 This is a duet version of Tum Hi Ho.
Song: Meri Aashiqui
Film: Aashiqui 2
Singers: Arijit Singh, Palak Muchhal
Music: Mithoon
Lyrics: Mithoon, Irshad Kamil
Cast: Aditya Roy Kapur, Shraddha Kapoor
Music Label: T-Series

AASAN NAHI YAHAN LYRICS - AASHIQUI 2


AASAN NAHI YAHAN LYRICS - AASHIQUI 2

Aasan Nahi Yahan Lyrics


Wo o o o...

Aasaan nahi yahaan aashiq ho jaana
Palkon pe kaanton ko sajaana
Aashiq ko milti hai gham ki saugaatein
Sabko naa milta yeh khajaana

Wo o o o...

Baaton se aage, waadon se aage
Dekho zara tum kabhi ho o..
Yeh to hai shola, yeh hai chingari
Yeh hai jawaag bhi

Wo o o o...

Jismon ke peechhe bhaage ho phirte
Utro kabhi rooh mein ho..
Hota kya aashiq, kya aashiqhi hai
Hogi khabar tab tumhein

Wo o o o...

SONG INFO
Aasan Nahi Yahan Lyrics from Aashiqui 2: The song is sung by Arijit Singh and written by Irshad Kamil.

Song: Aasan Nahi Yahan
Film: Aashiqui 2
Singer: Arijit Singh
Music: Jeet Gangulli
Lyrics: Irshad Kamil
Cast: Aditya Roy Kapur, Shraddha Kapoor
Music Label: T-Series



MILNE HAI MUJHSE AAYI LYRICS - AASHIQUI 2


MILNE HAI MUJHSE AAYI LYRICS - AASHIQUI 2

Milne Hai Mujhse Aayi Lyrics

Milne hai mujhse aayi
Phir jaane kyun tanhaai
Kis mod pe hai laayi aashiqui
O.. khud se hai ya Khuda se
Iss pal meri ladaai
Kis mod pe hai laayi aashiqui
O o...


Aashiqui baazi hai taash ki
Toot.te bante vishwaas ki
O.. Milne hai mujhse aayi
Phir jaane kyun tanhaai
Kis mod pe hai laayi aashiqui



Jaane kyun main sochta hoon
Khaali sa main, ik raasta hoon
Tune mujhe kahin kho diya hai
Yaa main kahin khud laapata hoon
Aa dhoond le tu phir mujhe
Kasamein bhi doon toh kya tujhe...



Aashiqui baazi hai taash ki
Toot.te bante vishwaas ki
O.. Milne hai mujhse aayi..
Phir jaane kyun tanhaai
Kis mod pe hai laayi aashiqui



Toota hua saaz hoon main
Khud se hi naaraz hoon main
Seene mein jo kahin pe dabi hai
Aisi koi aawaaz hoon main
Sun le mujhe tu bin kahe..
Kab tak khaamoshi dil sahe..



Aashiqui baazi hai taash ki
Toot.te bante vishwaas ki (x2)



O milne hai mujhse aayi
Phir jaane kyun tanhaai
Kis mod pe hai laayi aashiqui



O Khud se hai ya Khuda se
Iss pal meri ladaai
Kis mod pe hai laayi aashiqui
O o ho...



Aashiqui baazi hai taash ki
Toot.te bante vishwaas ki



"SONG INFO" 
Milne Hai Mujhse Aayi Lyrics from Aashiqui 2: 
The song is sung by Arijit Singh and written by Irshad Kamil.


Song: Milne Hai Mujhse Aayi
Film: Aashiqui 2
Singer: Arijit Singh
Music: Jeet Gangulli
Lyrics: Irshad Kamil
Cast: Aditya Roy Kapur, Shraddha Kapoor
Music Label: T-Series